About Me

My photo
Karachi, Pakistan
Pharmaceutical brand manager, Geek, Marketeer, Speaker,Procrastinator, Reader, Thinker, Writer, Blogger.Papa's spoiled daughter.I am ought in this world, searching the reason of my sole existence. A reason I believe ..i will find soon. Love my job and Love to think,read and write.

August 13, 2010

Some amazing excerpts from "Qasas-e-Nooh A.S"

The recent floodings in 2010 which have brought a natural catastrophical disaster in Pakistan, have led to me think, rethink and shed some light of the fact that..
"Are we under azaab" ?
I am compelled to think that is it the kind of azab that Allah(SWT) imposed upon qaum-e-Nooh(AS) because of their shirk.
While I was reading the details about the "paani ka azaab" at qaum-e-Nooh at Qasas-ul-Anbiya, i found some very interesting facts, infact, i was amazed by them. Sharing them for your kind knowledge.

  1. Kashti pe hazrat Nooh ne hathi ki sar pe hath phera tha jis ki waja se uski naak mein 2 soorakh huay aur istarah us ne kashti k andar ki tamam ghalazat (filth) ko apni soond se bahar phaink dya.
  2. Hazrat Nooh ne hanzir (PIG) ko mardood kaha toh, sheytaan uski madad se kashti per agaya. aur us ne atay hee Hanzir k mathay pe hath phera jiski waja se uski naak se 2 chohay paisa huay aur un choohon ne kashti k andar soorakh karna shru kardia. Yehi waja hai k hanzir ka gosht musalmanon per haram kardia gaya hai kiun k yeh Allah ka sabse napasandeda janwar hai, aur is k gosht ko khanay se insan begherat hojata hai aur uski sharm o haya khatam hojati hai.
  3. Jab kashti mein choohay soorakh karne lagay toh hazrat jibraeel AS se hazrat Nooh ko kaha k sher ki paishani per hath phairain aur is tarha uski naak se 2 billian paisa hueyeen jinho ne choohon ko kha lia, tabhi se choohay aur billi dushman hein.
  4. Hazrat Nooh ne kabootar ko bheja k ja kar dekhe k paani kitna tham gaya hai dunya mein, woh gaya aur kuch geeli aur kuch sooki matti apne paon per laga laya jis waja se pata chal gaya k abhi b dunya per pani buhat hai. isi k badlay Hazrat Nooh ne dua ki k kabootar ko hamesha pyar ki nigah se dekha jaye.
  5. Isi k bad Hazrat Jibraeel hazir huay aur unhon se tamam pani ko 7 hisson mein taqseem kardia jis waja se aj dunya mein 7 samandar hein.
  6. Allah SWT ne hazart Nooh AS ko hukum dia k tamam seeds ko zameen mai bo dain, unhon ne aisa hee kia magar angoor k seeds na milay. Unhein shetaan ne chura lia, jis per Hazrat Nooh ne baazpurs ki toh shetaan mardood ne angoor k seeds dai diye aur hazrat Nooh se kaha k mai bhee is ko bonay mein apki madad karoonga. Zameen mein lomri (fox), sher (lion) aur hanzir (pig) ko halaak kar k us ka khoon dala. Us k baad Hzrat Nooh ne iqrar kia aur aik hissa pani khud dala aur 3 hissay pani us mein shetaan mardood ne dalay. Yehi waja hai k angoor k andar jo mithaas hai woh hazrat Nooh k pani dalne ki waja se hai aur us se jo sharab banti hai woh shetaan mardood k pani dalne ki waja se hai, Yehi waja hai k sharab peenay wale insan ka mizaaj pehle lomri (fox), phir sher (lion)aur phir hanzir (pig) ki tarha hojata hai, tabhi woh na kuch dekha sakta hai aur na hee kuch samajh sakta hai.
  7. Hazra Nooh ne shetaan mardood se poocha k woh kaun se 4 kam hein jin k karne se aulad-e-aadam dozakh mein jayegi toh shetaan bola woh 4 kaam hein: "hasd - hirs -takabur- bukh'l
  • (hasad yani kisi se jalna nahi chahye ,
  • bukhl yani kanjoosi :apni zarooryat pe kharch karna chayay kanjoosi nahi karni chahyay aur khuda ki di hui dolat mein se zakat deni chahyay. Aik hadis e pak mein ata ke jo loog buhl kartay hai yahi dolat qayamat ke din un ke gale ka tooq(yani phanda) ban jayegi;,
  • takabur yani ghroor insan ko baray bool nahi bolne chahyay kisi kism ki barai nahi honi chahyay insan mein kuonke khuda ko ajzi o sadgi pasand hai aur parhaizgaar loog hi us ke mehboob hai,aur
  • hirs yani lalach nahi karni chahyay.
  • Agr kisi mein bi koi ikhlaqi burai (jhoot ,hasdo hirs o takaboro buhl ...)hu tu woh subh fajr ke baad 7 baar sorrah alkafiroon parhay tu har qism ki ikhlaqi burai khatam hujati hai . khuda hum sab ko in sab ikhlaqi burayoon se bachne ki tofiq ata farmayay aur hum pe rehm farmayay(amin)..
  1. Phir iske baad hazrat nooh ne iski sharah isse poocho tu iblis ne jawab dya ke "meine 70 000 saal khuda wande tallah ki ibadat ki hai aur iska hukm manta rha hu(rawayat mein hai ke iblis sabse zyada ibadat ghuzar tha aur sabse zyada ibadat bi ussi ne ki hai lakin aik sajda na karne ki waja se rad kar dya gyaa tu soochyay hum ne kitne sajde choore hain ? hum ne kitne hukm nahi manay ?)...aur jab adam ko allah ne bnaya tu sab farishtoon ko hukm hua ke isse sajda karoo sab ne kiya aur meine hasad kiyaa (ke adam mati ke banay hai aur mein aag ka mein adam ko sajda kuon karonga)isiliyay khuda ki lanat huwi aur dosri baat yeh ke phir ALLAH ne mujse poocha aur ke tune adam ko sajda kuon nahi kiya tu mein magroor hugya ke mein adam se behtar hu isiliyay allah ne apni dargah se mardod kaarar karke nikal dya aur teesri waja yeh ke hirs(lalach )hui adam ko gehyoo khane ki jisse allah ne mana farmaya tha aur meine unhein gehyon khane pe uksaya aur isiliyay woh behshat se nikale ghay aur is duniya ki qaid mein girftar hughay"aik hadis hai ya kisi ka qool muje sure nahi usmein ata ke "momin ke liyay duniya dozakh hai aur kafir ke liyay janat"..aur isi hirs ne adam ko is dozakh mein phenkwaya tha...aur choota buhl hai ke khuda ne buhliyoon pe janat ko haram kardya hai woh hargiz janat mein na jayenge ...iblis yeh waqiya hazrat nooh(alyih islam) ko suna ke chala gya tu baad mein khuda ka hukm hua ke eh nooh tu is kashti ki lakri se aik masjid bana tab whan unho ne usi jodi pahari pe masjid bnai aur us basti ka naam "samaneen "rakha yani iska matlab yeh hai ke tamam adam momin o momina usi basti mein hazrat nooh ke sath rehte the..aur iske chand rooz baad hi hazrat nooh wafat pa gaye.
  2. Aapki wafat ke baad unki aulaad saam,khaam aur yasif baqi rhi yani yeh pori duniya in teenoon ki nasl mein se hai ..ehle arabo ajam saam ki aulaad mein se hai.
This post is based upon "Qasa-ul-Anbia". Any discrepancy may be notified.

Jazak Allah khair !!

2 comments:

  1. The book "Qasa-ul-Anbia" is controversial. In Saudia Arabia, their big forum of deep analysis on Islamic text reject this book after great debate.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Like/Dislike? Comment your feedback please!