About Me

My photo
Karachi, Pakistan
Pharmaceutical brand manager, Geek, Marketeer, Speaker,Procrastinator, Reader, Thinker, Writer, Blogger.Papa's spoiled daughter.I am ought in this world, searching the reason of my sole existence. A reason I believe ..i will find soon. Love my job and Love to think,read and write.

August 14, 2012

Jashn-e-Aazadi

Ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua


ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

Us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua

Us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

Us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui

Us mitti ka jis ki hurmat mansub ud'u k naam hui

Us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin

Us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

Us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha

Us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

Us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha

Us maghrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

Uss masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin

Ua un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

Us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main

Uss Eiisa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhuaron main

Un nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain

Aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain?

Unn bhuke nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain

Ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

Ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue

Ya  un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

Is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main

Kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main?

Ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye

is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye!

(Faiz Ahmed Faiz: Qissa Haye Wafa se Iqtebaas)





 

No comments:

Post a Comment

Like/Dislike? Comment your feedback please!