About Me

My photo
Karachi, Pakistan
Pharmaceutical brand manager, Geek, Marketeer, Speaker,Procrastinator, Reader, Thinker, Writer, Blogger.Papa's spoiled daughter.I am ought in this world, searching the reason of my sole existence. A reason I believe ..i will find soon. Love my job and Love to think,read and write.

January 1, 2013

2013
 
Ae naye saal bata tujh mai nya pan kia hai
har taraf khal'q ne kyon shor macha rakha hai

Roshni din ki wohi, taroon bhari raat wohi
Aaj hum ko nazar aati hai har baat wohi
Aasmaan badla hai afsos, na badli hai zameen
Ek hindsay ka badalna koi jida't tau nahi

Aglay barsoon ki tarah hoon gay qareenay tere
Kisay maloom nahi bara mahinay tere

Janvary, farvary aur march mai paray gi sardi
Aur april, maye, june mai ho gi garmi

Tera mu'n dehar mai kuch khoye ga kuch paye ga
Apni mayad basar kar ke chala jaye ga

Tu naya hai tau dikha subah nai, shaam nai
Warna in aankhon nay dekhay hain naye saal kaye

Be-s'bab detey hain kyon log mubarkbadain
Ghaliban bhool gaye waqat ki kadwi yadain

Teri aamad se ghati umer jahan mai sab ki
Faiz ne likhi hai ye nazam niraly dhab ki!
 

(Credits: Faiz Ahmed Faiz)

 
Dua hai k yeh naya saal hum sub k liye khushyon, muskurahaton aur aman ka pegham le kar aaye!
 
HAPPY NEW YEAR 2013!