Always obliged to my alma mater
Ai madar-e-ilmi,
Kulliya-e-Pharmacy,
Meri rooh meri zaindagi,
Kulliya-e-Pharmacy !
waqt-e-safar aaN para hai
har student hee pareshan khara hai,
waqt-e-judaai dekhe the pehle,
yeh waqt mgar sab se kaRa hai,
doston ka saath chhoot raha hai,
jo bandhan tha tujh se wo toot raha hai ..
Ai madar-e-ilmi
hum jo bikkhre huay shikasta-pa se bachay thay,
medical ko na paa sakne k dukh mein,
din raat aansu'ON mein sisaktay thay,
hum taqdeer ka haaroN ko,
tu ne zindagi se larna sikhaya,
gir kar uthna ..
uth kar sambhalna sikhaya,
tu ne barh kar hamein jo apne seenay se lagaya
tu ne kitna hamein samjhaya ..
"ghum na karo mere jawano,
tum mehez mehnat se khud ko sanwaro,
mein tumhein nannhay paudo'N ki tarha seeNchooN gi,
aur ek din tumhein aik tanawar darakht dekhoon gi,
aur tum se zindagi phhot'te dekhoongi"
Ai mumta ki chahat jesi be-laus madar-e-ilmi ..
teri falak bos imarat mein guzar gaye yeh mah-o-saal,
guzar gaye meri zindagi k sab se qeemti 5 saal !!
tujh se toh hum ne zindagi ko jeena seekha tha,
choti choti khushyon mein hasna seekha tha,
kabhi "auditorium" mein kharay ho kar
presentations dene se confidence seekha,
kabhi "seminar" k qeemti khazanoN se
ilm k moti jama karne ka hunar jana,
kabhi "post-class-room discussions" se
"respecting everyone's opinion" seekha..
aur teachers k ilm-e-jahandeeda se,
zindagi ki hararat ko notebooks pe utar lia !!
Ai pharmacy..
jab kabhi mausam ne ada'yeN dikhaayeeN
hum jhat teri "thandi sadak" pe aa puhanchay,
atay jatay har rastay per,
buland qehqahay aur dabeez muskurahatein phaila deeN,
kabhi sabir ki canteen se udhaar pe chaye peetay,
aur roz hee "kachorion" ka nashta kartay, "anwar" k khokhay ki ronaq thehray larkay..
hum waqt tolioN ki shakal mein sab "nicotine" bharte..
"raza photostat" pe hamesha hee rush rehta..
naseer bhai paan chabatay mashhaqi se copy karte jate,
rashid bhai aik copy banane mein2ghante laga dete,
heraan pareshan sa magar hamesha hee muskurata taimoor,
sab k complicated bakhaidoN ko asani se samajh jata ..
"dekho yeh page chorna hai aur yeh copy karna hai"
"copy theek na hui toh wapis kar doongi"
"yar pese khatay mein likh de,pehli ko de jaoonga"
haye yeh waqt ..
muskurate huay kaun ab hamein udhaar de ga ??
pharmacy k backlawn mein tennis khelna,
valika mein cricket k daur mein,
naray lagana,khoob mazay urana,
kabhi class bunk kar k teachers se shakal chupate phirna,
proxy lagwane k naye naye bahanay dhoondna,
silgirahon ka ehtamam TS pe karna,
atay jaaty points pe awazein kassna,
har lamha,har deewar,har washroom, har clasroom mein
whito se apne group ka naam likhna ..
har waqt har pose mein tasveerain khinchwana,
sardioN ki subhoN mein,
TS pe parti dhund mein ,
chaye ka garam garan cup hathon mein liye,
aik doosre se guppen marna,
fazool gossips karna,
aur apne group k baray mein kehna ..
"we are the best"
imtahan jo ayen toh TS ka sunsaan hojana,
combines k liye combine hona,
aik notes se 4 logon ka parhna,
aur bagher soye paper dene jana,
parhne se ziada waqt "break" karna,
sara semester waste kar k,
imtehaan ki chand raat pe parhna,
aur agar paper mein format,
subjective ki jaga objective ajaye,
toh bahar nikal k khoob kosnay bakna,
aur taheeya karlena k ..
"aglay semester tameez se parhenge".... !!
Ai pharmacy,
ai hamesha se buland-o-bala rehna wali,
azeem kulliya-e-Pharmacy,
teri muhabbat ne hamein mas'hoor kardia,
hum tujh se juda ho k kese rahenge?
yeh hausla toh hum mein nahin hai ai madar-e-ilmi!!
magar .. hum barh rahe hein agay..
teri azmat k nishaaN dil pe sabt kiye,
hum jarahe hein ..
agay hee agay ..
tere naam ko aur ooncha karne,
hum jayenge agay ..
bus ek guzarish hai madar-e-ilmi..
jab kabhi hum khaak chhantay wapas aa kar,
tujh se milein ..
toh hamare liye ajnabi na ho jana,
hamein wohi protocol dena,
muhabbat se galay lagana, shafqat se pyar karna,
ai madar-e-ilmi ...!!
HUM RAHEIN NA RAHEIN TUM YOOONHI DIL LUBHAANA, HAMARI TARHA KAII AURON KO TUM ZINDAGI SIKHANA,
aansuoN se dhalta hua,
nai umeedonN se sajta hua,
muskurahaton se bassta hua,
AJAB HAI YEH SAMAA AI MADAR-E-ILMI..
ALVIDA, ALVIDA..
ALVIDA AI MADAR-E-ILMI ..
ALVIDA MERI ROOH, MERI ZINDAGI..
ALVIDA KULLIYA-E-PHARMACY !
* tears* !!!
You may turn off the sun, but I am still gonna shine :-)