About Me

My photo
Karachi, Pakistan
Pharmaceutical brand manager, Geek, Marketeer, Speaker,Procrastinator, Reader, Thinker, Writer, Blogger.Papa's spoiled daughter.I am ought in this world, searching the reason of my sole existence. A reason I believe ..i will find soon. Love my job and Love to think,read and write.

November 12, 2011

JHOOT



Written: 07/08/2003

Tum sach samajhtay ho garr samajhtay ho tum yehi,
Kay meri aankhOn ne tumhare sapne bunay nahin,

na furrsat mili mujhey kabhi tumhein yaad karne ki,
na kar saki tumhari koi soch gumm mujhey,

na kabhi mujhey tumhari shiddat se zaroorat pari,

na kisi dost se tumhare mene tumhari kabhi kheryat poochi,
na kabhi namaz mein mene tumhare liye dua ki,
aur na kabhi khuda se tumhari khushyaan mangeen,

na toh suraj nikaltay hee tumhari sochon ne mujhey ghera,

na hee chaand ko dekh kar tumhari yaad ja'g aai,

na hee qismat ki lakeeroN mein tumhara naam kabhi dhoonda,
na hee tumhara chehra koi "special chehra" thehra,
na hee kabhi neend mein mene tumhara naam pukara,

na hee kabhi apni khushyoN ka mehwar tumhein banaya,
na kabhi meri aankhoN mein kabhi tumhara aqs thehra,

na hee meri kisi ghazal mein tumhara zik'r kabhi aaya!
Yeh sab kuch hai sach JanaaN ..magar yeh bhee sach hai,

kay tumhari inn gehri siaah aankhon se,
ankhein mila kar yeh sach kehnay ka,
na janay kyun..
Mujh mein hausla nahin!


No part of this poem may be reprinted or reshared. All rights reserved.