About Me

My photo
Karachi, Pakistan
Pharmaceutical brand manager, Geek, Marketeer, Speaker,Procrastinator, Reader, Thinker, Writer, Blogger.Papa's spoiled daughter.I am ought in this world, searching the reason of my sole existence. A reason I believe ..i will find soon. Love my job and Love to think,read and write.

August 28, 2012

K H A T!

"Prime minister k khat na likhne pe Supreme Court ne unhein naa-ehl qaraar de dia" - News
(Na-ehl = impotent, eh?)

"Naye Prime Minister ne halaf utha lia magar kya woh khat likhengay?" - Such ka bhurta bana k geo!

"Khat - To write or not to write" - A deep melancholic write-up by a wanna be at the "tribune blogs". (Article parh k neeche twitter handle ko follow karna mat bhooliyega"

Such are the atrocities of this Khat. Aik Khatt. Saala aik khattt ...(And you instantly know what Nana Patekar said after this. Aqwaal-e-Zarreen)

This khat-khatahat has blown me into the 90's where I discoeverd my first affair of the muhalla once trying to learn my grade 7th english essay at the chhat. Nazzron nazzron mein isharay and full adaon wale romantic scene got me crazy. The heroine was a dusky damsel baji in my galli living right next to my place and who confessed her love instantly to me whe  i said "Baji, aap ---bhai ko daikh rahi theen na" (Using facebook poke effect). She found a reason for her emotions to spread out (Internet us waqt napa'ed tha). Then shen used to give me a khat to give to her "WOH" living few homes across. The bhai jaan was also a full stud piece. And used to reciprocate equally to all her glares & bares.

I was an honest little honey back then too. Neither did I exchanged their love letters, but also never told this to my mom. Else i know, un ki toh band bajj jaani thee :P
Strange enough, although tempted but I never read their letters.

But I did it once. One love letter that was in my brother's room. I read it. And then handed it over to mom gracefully. Fizza Rahman from CIA - Mission accomplished :D

Ejoy some Khoobsurat khatt's from google bhaijaan. Just for fun.

 
Spoiler: Aap meri Khaatir naswaar chhor dain :P
 
 
Spoiler: Haath mein elaichi muun mein badaam, Khat parhne se pehla mera salaam!
 
 
Spoiler: Some love one, some love two, I love one, that ARE you!
 

Spoiler: Aap pant shillt mein buhat ache lagtay hain :D
 
 
Spoiler: Allama Iqbal ki rooh ko thais puhanchate huay un k shair ka zoo-muanee istemal!
 
BUSS??
 PIKTURE ABHI BAKI HAI MERAY DOST..
 
 Here is a collection of some epic love songs on "khat" from Youtube.

 
Respect for the song. But shouldnt Prime minister sahab should also send a phool in his khat. Guaranteed. Mehboob ap k qadmo mein!
 
 
Karishma ji k kapde aur ajay bhai ki jawaani. Full aatish! Jab yeh khat likh sakte hein toh PM sahab kyun nahin. YEH KIA BAAT HUI. MUFTI SAAAB!
 
 
Khat mene teray naam likha. Haal-e-Dil tamam likha (Pata nahin kitne papers per aaya hoga. Plus, paper bhee college register k honge). When they can ... why cant u PM saab??
 
 
Chalo bhai. Inho ne toh khat watt ko b chhor k direct dil pe likhne ki baat kardi. Technology. FTW
 
 
 Forget Bollywood. Rafaqat Ali Khan wins. The real reason for not writing a khatt. Beat that!
 
 
 

August 14, 2012

Jashn-e-Aazadi

Ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua


ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

Us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua

Us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

Us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui

Us mitti ka jis ki hurmat mansub ud'u k naam hui

Us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin

Us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

Us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha

Us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

Us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha

Us maghrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

Uss masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin

Ua un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

Us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main

Uss Eiisa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhuaron main

Un nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain

Aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain?

Unn bhuke nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain

Ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

Ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue

Ya  un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

Is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main

Kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main?

Ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye

is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye!

(Faiz Ahmed Faiz: Qissa Haye Wafa se Iqtebaas)