Raat Khoob Gehri hai,
Tumko sochta hooN meiN,
Duur tak andheray meiN,
roshni si hoti hai,
Roshni bhee aisi kay,
Jis k saray rangoN meiN,
Tum hee jagmagatay ho,
Tum hee muskuratay ho,
Meray dil k aangan mein,
Muheeb gehra sannata hai,
Jab bhee aa kay behta haim
Tera naam leta hai,
Muheeb gehra sannatta,
Tera naam leta hai toh,
Goonj Goonj uthta hai,
Mujh ko mausamoN se kia,
Mujh pe tera mausam hai,
Soch ka har ek manzar,
Tujh pe aa k rukta hai,
BarishoN mein, main tanha,
jab udaas hota hooN,
Teray lams ki khushboo,
Mujhko gudgudati hai,
Phool khilnay lagte heiN,
Dhanak bhee muskurati hai,
Chehra ek kitaab hai,
Meray chehray pe shayed,
Tera naam likkha hai,
Laakh meiN chupaooN bhee,
dost parh hee lete heiN,
Dost aakhir dost hee heiN,
Pooch hee letay heiN,
Ye jo ek talluq hai,
Tere mere beech ka,
Mujhko khud nahin maloom,
Kya yehi muhabbat hai ?
(Reproduced Work.
Jahanzaib ki kitaab "Bus Tum hee Ho" se iqtibaas.
All rights reserved)
Tumko sochta hooN meiN,
Duur tak andheray meiN,
roshni si hoti hai,
Roshni bhee aisi kay,
Jis k saray rangoN meiN,
Tum hee jagmagatay ho,
Tum hee muskuratay ho,
Meray dil k aangan mein,
Muheeb gehra sannata hai,
Jab bhee aa kay behta haim
Tera naam leta hai,
Muheeb gehra sannatta,
Tera naam leta hai toh,
Goonj Goonj uthta hai,
Mujh ko mausamoN se kia,
Mujh pe tera mausam hai,
Soch ka har ek manzar,
Tujh pe aa k rukta hai,
BarishoN mein, main tanha,
jab udaas hota hooN,
Teray lams ki khushboo,
Mujhko gudgudati hai,
Phool khilnay lagte heiN,
Dhanak bhee muskurati hai,
Chehra ek kitaab hai,
Meray chehray pe shayed,
Tera naam likkha hai,
Laakh meiN chupaooN bhee,
dost parh hee lete heiN,
Dost aakhir dost hee heiN,
Pooch hee letay heiN,
Ye jo ek talluq hai,
Tere mere beech ka,
Mujhko khud nahin maloom,
Kya yehi muhabbat hai ?
(Reproduced Work.
Jahanzaib ki kitaab "Bus Tum hee Ho" se iqtibaas.
All rights reserved)